Tuesday, September 11, 2012

Gulabi Aankhen Lyrics (Mohammad Rafi)

Gulabi aankhen jo teri dekhi sharabi yeh dil ho gaya
sambhalo mujhko oh mere yaaron sambhalna mushkil ho gaya

dil mein mere khwab tere tasveer jaise ho deewar pe
tujhpe fida main kyu huwa aata hai gussa mujhe pyar pe

mai loot gaya maan ke dil ka kaha mai kahi ka na raha kya kahu main dilruba

bura hai jaadoo teri aankhon ka yeh mera kaatil ho gaya
Gulabi aankhen jo teri dekhi sharabi yeh dil ho gaya

maine sada chaha yahi daman bacha lu hasino se main
teri kasam khwabo mein bhi bachta fira nazneeno se mai

tauba magar mil gayi tujhse nazar mil gaya darde jigar sun zara oh bekhabar

zara sa haske jo dekha tune mai tera bismil ho gaya
Gulabi aankhen jo teri dekhi sharabi yeh dil ho gaya
sambhalo mujhko oh mere yaaron sambhalna mushkil ho gaya
3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Noor Gulabi 2.0 Sonakshi Sinha Amaal Mallik Latest punjabi Video Song Download Mp3 HD and Mp4. The Song Noor Gulabi 2.0 Lyrics Lines.

    ReplyDelete

Followers