Monday, January 13, 2020

Bekhayali Lyrics (Kabir Singh)

Bekhayali me bhi tera hi khayal aaye
Kyu bichadna hai zaroori ye sawaal aaye
Teri nazdeekiyo ki khushi behisaab thi
Hisse me faasle bhi tere bemisaal aaye

Mai jo tumse duur hu, kyu duur mai rahu
Tera guroor hu
Aa tu faasla mita, tu khwaab sa mila
Kyu khwaab tod du

Bekhayali me bhi tera hi khayal aaye
Kyu judaai de gaya tu ye sawaal aaye
Thoda sa mai khaafa ho gaya aapne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye

Hai ye tadpan, hai ye uljhan, kaise, jee lu bina tere
Meri ab sab se hai aan baan, bante, kyu ye khuda mere

Ye jo log baag hai, jangal ki aag hai
Kyu aag me jalu
Ye nakam pyar me, khush hai ye haar me
In jaisa kyu banu

Raatein degi bata, neendo me teri hi baat hai
Bhoolu kaise tujhe tu to khyalo me sath hai

Bekhayali me bhi tera hi khayal aaye
Kyu bichadna hai zaroori ye sawaal aaye

Nazar ke aage, har ek manzar
Ret ki tarha, bikhar raha hai
Dard tumhara, badan me mere
Zaher ki tarha, utar raha hai

Aa zamane aazma le, ruth ta nahi
Faaslo se hausla ye tut ta nahi
Na hai wo bewafa aur na, mai hu bewafa
Wo meri aadato ki tarah, chhut ta nahi...





Followers