Sunday, March 21, 2010

Do Kadam Lyrics (Meenaxi_Sonu Nigam)

Zindagi haath mila
saath chal saath mein aa
umr bhar saath rahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi

koi suraj ki dagar, koi sone ka nagar
chaand ke rath pe chale, jaha thehre yeh nazar
dhoop dariyawon mein hai, fir safar pawon mein hai
dil ka awara diya, dusre gayon mein hai
aao chale hum wahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi

khwab dhalte hai jahan, dil pighalte hai jahan,
aao chalte hai wahi, wo zameen door nahin,
dosti hogi wahan, roshni hogi wahan,
uss ujale ke liye, jal chuke lakho diye,
ek hum aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi

kiski awaaz hai suun, yeh naya saaz hai suun,
kaun rehta hai sada, chalke dekhe zara,
rah veeran sahi, raat sunsaan sahi
har ghadi saath rahi, kitne gum saath sahi
thode gum aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi
do kadam aur sahi

No comments:

Post a Comment

Followers